gesu-e-hosh-o-matanat ko bikharne na diya
gesū-e-hosh-o-matānat ko bikharne na diyā
maiñ ne chāhat ko kabhī had se guzarne na diyā
dar-ba-dar mujh ko liye phirtī rahī fikr-e-ma.āsh
do ghaḌī chain se ik dar pe Thaharne na diyā
bas isī Dar se ki harf aa.e na tujh par ham ne
terī tasvīr ko āñkhoñ meñ ubharne na diyā
ḳhud kabhī tum ne bhalā.ī kā kiyā kaam na kuchh
us pe ye zulm ki auroñ ko bhī karne na diyā
raah meñ kitne hī ḳhush-rang nazāre the magar
mujh ko manzil kī tamanna ne Thaharne na diyā
zinda rakkhā hai har ik daur meñ be-shak 'tābish'
ek fan-kār ko fan ne kabhī marne na diyā
gesu-e-hosh-o-matanat ko bikharne na diya
main ne chahat ko kabhi had se guzarne na diya
dar-ba-dar mujh ko liye phirti rahi fikr-e-maash
do ghaDi chain se ek dar pe Thaharne na diya
bas isi Dar se ki harf aae na tujh par hum ne
teri taswir ko aankhon mein ubharne na diya
KHud kabhi tum ne bhalai ka kiya kaam na kuchh
us pe ye zulm ki auron ko bhi karne na diya
rah mein kitne hi KHush-rang nazare the magar
mujh ko manzil ki tamanna ne Thaharne na diya
zinda rakkha hai har ek daur mein be-shak 'tabish'
ek fan-kar ko fan ne kabhi marne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.