ghabra ke jaan di ho agar hijr-e-yar mein
ghabrā ke jaan dī ho agar hijr-e-yār meñ
allāh do ghaḌī bhī na de sukh farār meñ
dil ko butoñ ne luuT liyā luuT lene do
kyā daḳhl hai mashiyyat-e-parvardigār meñ
ai dost tum pe martā maiñ jī kar hazār baar
hotī jo maut-o-zīst mire iḳhtiyār meñ
maiñ mar gayā to huuñ magar allah-re intizār
āñkheñ khulī haiñ hasrat-e-dīdār-e-yār meñ
mahshar kā din hai ab to dikhā dījiye jamāl
zinda huā huuñ mar ke isī intizār meñ
ye kah ke ham ne jaan dī qadmoñ pe yaar ke
aane na deñge farq kabhī e'tibār meñ
ghabrā rahā hai der se 'rāfat' hamārā dil
aao chalo bhī sair kareñ kū-e-yār meñ
ghabra ke jaan di ho agar hijr-e-yar mein
allah do ghaDi bhi na de sukh farar mein
dil ko buton ne luT liya luT lene do
kya daKHl hai mashiyyat-e-parwardigar mein
ai dost tum pe marta main ji kar hazar bar
hoti jo maut-o-zist mere iKHtiyar mein
main mar gaya to hun magar allah-re intizar
aankhen khuli hain hasrat-e-didar-e-yar mein
mahshar ka din hai ab to dikha dijiye jamal
zinda hua hun mar ke isi intizar mein
ye kah ke hum ne jaan di qadmon pe yar ke
aane na denge farq kabhi e'tibar mein
ghabra raha hai der se 'rafat' hamara dil
aao chalo bhi sair karen ku-e-yar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.