ghaDi bhar aaj wo mujhse raha KHush
ghaḌī bhar aaj vo mujh se rahā ḳhush
ḳhudā rakkhe use is se sivā ḳhush
ye maiñ jo har tarah nāshād-o-nā-ḳhush
phir aise se rahe un kī balā ḳhush
kabhī ḳhush hai kabhī vo mujh se nā-ḳhush
hamesha kaun duniyā meñ rahā ḳhush
tumhīñ tum ḳhush to phir ke lutf-e-sohbat
maza milne kā hai ho dūsrā ḳhush
tumhīñ tum ḳhush to phir kyā lutf-e-sohbat
maza milne kā hai ho dūsrā ḳhush
ḳhushī kī mil ga.iiñ do-chār sāñseñ
ki vo bad-ahd aayā ḳhush gayā ḳhush
jo vo bātoñ se ḳhush karne pe aate
to hote banda-e-dargāh kyā ḳhush
samajhte haiñ ki ye gustāḳh bhī hai
zarā nā-ḳhush haiñ vo mujh se zarā ḳhush
kahāñ tak zabt ab kartā huuñ naala
sitamgar ḳhush rahe mujh se ki nā-ḳhush
dar-e-daulat pe the lākhoñ bhikārī
na palTā koī mahrūm aur nā-ḳhush
ilāhī-baḳht tū bedār-e-bāda
adū nā-ḳhush rahīñ aur āshnā ḳhush
sunī hai bārhā merī tamannā
kiyā hai us ne mujh ko bārhā ḳhush
ḳhushī se aaj us ne baat kar lī
tabī.at ho ga.ī be-intihā ḳhush
karo vo kaam jo kal kaam aa.e
chalo vo chaal jis se ho ḳhudā ḳhush
ilāhī daur-e-usmānī ho daa.em
ki hai is ahd meñ chhoTā baḌā ḳhush
ḳhushī merī kisī ke haath meñ hai
huā ḳhush jo kisī ne kar diyā ḳhush
safī' merī ḳhushī-o-nā-ḳhushī kyā
rakkhā jis haal meñ us ne rahā ḳhush
ghaDi bhar aaj wo mujh se raha KHush
KHuda rakkhe use is se siwa KHush
ye main jo har tarah nashad-o-na-KHush
phir aise se rahe un ki bala KHush
kabhi KHush hai kabhi wo mujh se na-KHush
hamesha kaun duniya mein raha KHush
tumhin tum KHush to phir ke lutf-e-sohbat
maza milne ka hai ho dusra KHush
tumhin tum KHush to phir kya lutf-e-sohbat
maza milne ka hai ho dusra KHush
KHushi ki mil gain do-chaar sansen
ki wo bad-ahd aaya KHush gaya KHush
jo wo baaton se KHush karne pe aate
to hote banda-e-dargah kya KHush
samajhte hain ki ye gustaKH bhi hai
zara na-KHush hain wo mujh se zara KHush
kahan tak zabt ab karta hun nala
sitamgar KHush rahe mujh se ki na-KHush
dar-e-daulat pe the lakhon bhikari
na palTa koi mahrum aur na-KHush
ilahi-baKHt tu bedar-e-baada
adu na-KHush rahin aur aashna KHush
suni hai barha meri tamanna
kiya hai us ne mujh ko barha KHush
KHushi se aaj us ne baat kar li
tabiat ho gai be-intiha KHush
karo wo kaam jo kal kaam aae
chalo wo chaal jis se ho KHuda KHush
ilahi daur-e-usmani ho daem
ki hai is ahd mein chhoTa baDa KHush
KHushi meri kisi ke hath mein hai
hua KHush jo kisi ne kar diya KHush
safi' meri KHushi-o-na-KHushi kya
rakkha jis haal mein us ne raha KHush
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 130)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.