ghane arman gaDhi aarzu karne se milta hai
ghane armān gāḌhī aarzū karne se miltā hai
ḳhudā jaaḌe kī rātoñ meñ vuzū karne se miltā hai
havā kī dhun daraḳhtoñ kā suḳhan naġhme haiñ lekin fan
diloñ ke chaak meñ āñkheñ rafū karne se miltā hai
ḳhudā un ko shu.ūr-e-tishnagī detā to achchhā thā
inhīñ pyāsoñ meñ kyā shaġhl-e-subū karne se miltā hai
yaqīñ duniyā nahīñ kartī magar hai tajraba merā
sukūñ to but-kade meñ hāv-hū karne se miltā hai
badalte rañg zaḳhmoñ ke haiñ niile surḳh aur kaale
falak ko bhī ye gardish chār-sū karne se miltā hai
ufuq par qumqumoñ meñ qumqume zam hote jaate haiñ
maza āñkhoñ kā āñkheñ rū-ba-rū karne se miltā hai
ghane arman gaDhi aarzu karne se milta hai
KHuda jaDe ki raaton mein wuzu karne se milta hai
hawa ki dhun daraKHton ka suKHan naghme hain lekin fan
dilon ke chaak mein aankhen rafu karne se milta hai
KHuda un ko shuur-e-tishnagi deta to achchha tha
inhin pyason mein kya shaghl-e-subu karne se milta hai
yaqin duniya nahin karti magar hai tajraba mera
sukun to but-kade mein haw-hu karne se milta hai
badalte rang zaKHmon ke hain nile surKH aur kale
falak ko bhi ye gardish chaar-su karne se milta hai
ufuq par qumqumon mein qumqume zam hote jate hain
maza aankhon ka aankhen ru-ba-ru karne se milta hai
- Book : Teksaal (Pg. 105)
- Author : 2016
- Publication : kasauti Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.