ghane daraKHt ke sae mein jab qiyam hua
ghane daraḳht ke saa.e meñ jab qiyām huā
maiñ pahlī baar parindoñ se ham-kalām huā
banāne vaale ne sochā ye dil banāte hue
kahīñ to apne bhī rahne kā intizām huā
falak se yuuñ hī to ham ḳhaak par nahīñ aa.e
hamāre vāste kyā kyā na ehtimām huā
na jaane kaun sī jannat kī justujū hai tujhe
ki jis ke vāste jiinā mirā harām huā
bacha ke laaya thā jinnāt se maiñ shahzādī
isī ke saath kahānī kā iḳhtitām huā
ajiib kaif meñ Duubī thiiñ uñgliyāñ 'arshad'
kisī kā lams mirī umr bhar kā jaam huā
ghane daraKHt ke sae mein jab qiyam hua
main pahli bar parindon se ham-kalam hua
banane wale ne socha ye dil banate hue
kahin to apne bhi rahne ka intizam hua
falak se yun hi to hum KHak par nahin aae
hamare waste kya kya na ehtimam hua
na jaane kaun si jannat ki justuju hai tujhe
ki jis ke waste jina mera haram hua
bacha ke laya tha jinnat se main shahzadi
isi ke sath kahani ka iKHtitam hua
ajib kaif mein Dubi thin ungliyan 'arshad'
kisi ka lams meri umr bhar ka jam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.