ghar apna chhoD kar jaane ka mera man nahin karta
ghar apnā chhoḌ kar jaane kā merā man nahīñ kartā
phir ik banjāra ban jaane kā merā man nahīñ kartā
kisī raste ke kho jaane kā mujh ko ġham nahīñ hotā
kisī manzil ko ab paane kā merā man nahīñ kartā
ye sab kuchh ḳhvāb hai dhokā hai yā koī fasāna hai
mo'amma kyā hai suljhāne kā merā man nahīñ kartā
tumhāre roz ke in man-ghaḌat fatvoñ pe vā'iz jī
kabhī ab ġhaur farmāne kā merā man nahīñ kartā
kamā luuñ naam maiñ bhī qais aur farhād sā lekin
sitāre toḌ kar laane kā merā man nahīñ kartā
ghar apna chhoD kar jaane ka mera man nahin karta
phir ek banjara ban jaane ka mera man nahin karta
kisi raste ke kho jaane ka mujh ko gham nahin hota
kisi manzil ko ab pane ka mera man nahin karta
ye sab kuchh KHwab hai dhoka hai ya koi fasana hai
mo'amma kya hai suljhane ka mera man nahin karta
tumhaare roz ke in man-ghaDat fatwon pe wa'iz ji
kabhi ab ghaur farmane ka mera man nahin karta
kama lun nam main bhi qais aur farhad sa lekin
sitare toD kar lane ka mera man nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.