ghar ghar sada di ki hai gadai tere liye
ghar ghar sadā dī kī hai gadā.ī tire liye
aise bhī ham ne sah lī judā.ī tire liye
maujūd sab raheñge yahī naam ab yahāñ
patthar pe kī hai maiñ ne khudā.ī tire liye
farhād aur hī thā tire ashk meñ nihāñ
sāñsoñ kī ham ne kar dī vidā'ī tire liye
samjhoge jab uḌegī mirī ḳhaak qabr se
kyoñ 'ishq meñ kī jaan fidā.ī tire liye
tum ne hī rāstoñ meñ bahut moḌ rakh diye
kab kī thī ham ne shoḳh adaa.ī tire liye
jis harf meñ chhupī thī tire husn kī ramaq
vo lafz kī ziyā thī ridā.ī tire liye
'altāf' us ko maañg ke dekhā hai shauq se
kar legā kaun roz gadā.ī tire liye
ghar ghar sada di ki hai gadai tere liye
aise bhi hum ne sah li judai tere liye
maujud sab rahenge yahi nam ab yahan
patthar pe ki hai main ne khudai tere liye
farhad aur hi tha tere ashk mein nihan
sanson ki hum ne kar di wida'i tere liye
samjhoge jab uDegi meri KHak qabr se
kyon 'ishq mein ki jaan fidai tere liye
tum ne hi raston mein bahut moD rakh diye
kab ki thi hum ne shoKH adai tere liye
jis harf mein chhupi thi tere husn ki ramaq
wo lafz ki ziya thi ridai tere liye
'altaf' us ko mang ke dekha hai shauq se
kar lega kaun roz gadai tere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.