ghar jala leta hai KHud apne hi anwar se tu
ghar jalā letā hai ḳhud apne hī anvār se tū
kaaT detā hai zamīñ sāya-e-dīvār se tū
is qadar tez na chal saañs ukhaḌ jā.egā
tai na kar rāh-e-talab ek hī raftār se tū
gosha-e-dil kī ḳhamoshī kā tamannā.ī maiñ
aur hañgāme uThā laayā hai bāzār se tū
to zarā sā bhī agar fitna hai barpā ho jā
apnī qāmat na baḌhā turra-e-dastār se tū
āñdhiyāñ uTThī haiñ vo dekh falak surḳh huā
toda-e-reg pe baiThā hai baḌe pyaar se tū
shab kī tārīkī meñ maiñ ne tujhe pahchān liyā
jab huvaidā na huā sub.h ke āsār se tū
muddatoñ se tirī āñkhoñ ke sadaf ḳhālī haiñ
is qadar ḳhauf na khā abr-e-guhar-bār se tū
tazkire kartā hai jalte hue sahrāoñ ke
dasht ko dekhtā hai shahr kī dīvār se tū
muntazir hai tirā ik umr se jañgal 'shahzād'
is qadar duur na rah apne talabgār se tū
ghar jala leta hai KHud apne hi anwar se tu
kaT deta hai zamin saya-e-diwar se tu
is qadar tez na chal sans ukhaD jaega
tai na kar rah-e-talab ek hi raftar se tu
gosha-e-dil ki KHamoshi ka tamannai main
aur hangame uTha laya hai bazar se tu
to zara sa bhi agar fitna hai barpa ho ja
apni qamat na baDha turra-e-dastar se tu
aandhiyan uTThi hain wo dekh falak surKH hua
toda-e-reg pe baiTha hai baDe pyar se tu
shab ki tariki mein main ne tujhe pahchan liya
jab huwaida na hua subh ke aasar se tu
muddaton se teri aankhon ke sadaf KHali hain
is qadar KHauf na kha abr-e-guhar-bar se tu
tazkire karta hai jalte hue sahraon ke
dasht ko dekhta hai shahr ki diwar se tu
muntazir hai tera ek umr se jangal 'shahzad'
is qadar dur na rah apne talabgar se tu
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 385)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.