ghar jo lauTe to mile ghair ke samanon mein
ghar jo lauTe to mile ġhair ke sāmānoñ meñ
phuul kuchh chhoḌ ke aa.e the jo gul-dānoñ meñ
vo bhī hijrat ke takalluf se barī ho na sake
aa.e kuchh log jo ka.abe se sanam-ḳhānoñ meñ
un ke chehroñ ko nigāhoñ se qat.a mat kījiye
jin kī pahchān rahī ā.ina-sāmānoñ meñ
merī aamad pe har ik shaḳhs ko hairānī hai
vo mujhe DhūñDne nikle the bayābānoñ meñ
ham bhī taqsīm hue aap bhī taqsīm hue
donoñ muñh Dhāñp ke rote haiñ garebānoñ meñ
ghar jo lauTe to mile ghair ke samanon mein
phul kuchh chhoD ke aae the jo gul-danon mein
wo bhi hijrat ke takalluf se bari ho na sake
aae kuchh log jo kabe se sanam-KHanon mein
un ke chehron ko nigahon se qata mat kijiye
jin ki pahchan rahi aaina-samanon mein
meri aamad pe har ek shaKHs ko hairani hai
wo mujhe DhunDne nikle the bayabanon mein
hum bhi taqsim hue aap bhi taqsim hue
donon munh Dhanp ke rote hain garebanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.