ghar ka matam karte hain
ghar kā mātam karte haiñ
jangal meñ ram karte haiñ
vahshat meñ bas terā naam
paḌhte haiñ dam karte haiñ
ham bhī 'mīr' ke ghar se haiñ
kāġhaz ko nam karte haiñ
yuuñ to sab jal jā.egā
dil kī lau kam karte haiñ
kaun ashkoñ meñ chamkā hai
ye kis kā ġham karte haiñ
andar se jo ḳhālī haiñ
'sāqib' ham ham karte haiñ
ghar ka matam karte hain
jangal mein ram karte hain
wahshat mein bas tera nam
paDhte hain dam karte hain
hum bhi 'mir' ke ghar se hain
kaghaz ko nam karte hain
yun to sab jal jaega
dil ki lau kam karte hain
kaun ashkon mein chamka hai
ye kis ka gham karte hain
andar se jo KHali hain
'saqib' hum hum karte hain
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 43)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.