ghar ka parda uTha raha hun main
ghar kā parda uThā rahā huuñ maiñ
is kā matlab ki aa rahā huuñ maiñ
shukriya bol aa ke tū mujh ko
naaz tere uThā rahā huuñ maiñ
aa bhī jaao ki vaqt mushkil hai
tum ko kab se bulā rahā huuñ maiñ
apnī mahfil meñ kar ke zikr tirā
apne dil ko jalā rahā huuñ maiñ
kyā kahūñ tere sab ḳhutūt ke saath
terā chehra bhulā rahā huuñ maiñ
merā ghar jis diye se jaltā thā
us diye ko bujhā rahā huuñ maiñ
tum ne jo bhī diye the ḳhat mujh ko
aaj vo sab jalā rahā huuñ maiñ
naam likkhā thā jis kā hāthoñ par
naam us kā miTā rahā huuñ maiñ
maiñ ne likkhī hai ḳhuun se 'haidar'
shā'irī jo sunā rahā huuñ maiñ
ghar ka parda uTha raha hun main
is ka matlab ki aa raha hun main
shukriya bol aa ke tu mujh ko
naz tere uTha raha hun main
aa bhi jao ki waqt mushkil hai
tum ko kab se bula raha hun main
apni mahfil mein kar ke zikr tera
apne dil ko jala raha hun main
kya kahun tere sab KHutut ke sath
tera chehra bhula raha hun main
mera ghar jis diye se jalta tha
us diye ko bujha raha hun main
tum ne jo bhi diye the KHat mujh ko
aaj wo sab jala raha hun main
nam likkha tha jis ka hathon par
nam us ka miTa raha hun main
main ne likkhi hai KHun se 'haidar'
sha'iri jo suna raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.