ghar ke baDe-buDhon ko yahi kahte suna hai
ghar ke baḌe-būḌhoñ ko yahī kahte sunā hai
jhuk jhuk ke jo miltā hai vahī qad meñ baḌā hai
vo shaḳhs havā ke kisī jhoñke kī tarah thā
ab habs baḌhā hai to ye ehsās huā hai
lafzoñ ke libāde meñ chhupī baat ko samjho
kab ham ne tirī zaat se inkār kiyā hai
ik baab ke khulne se ka.ī baab haiñ khulte
ye ilm kā nukta mujhe ik dar se milā hai
har baat ke parde meñ koī baat chhupī hai
ham ne tire tevar se ye pahchān liyā hai
shāyad ki koī rabt kī sūrat nikal aa.e
be-rabt ibārat ko ka.ī baar paḌhā hai
ik ḳhauf musallat hai sabhī baaġh pe 'āsif'
phūloñ ne bhī ḳhushbū ko yahāñ qaid kiyā hai
ghar ke baDe-buDhon ko yahi kahte suna hai
jhuk jhuk ke jo milta hai wahi qad mein baDa hai
wo shaKHs hawa ke kisi jhonke ki tarah tha
ab habs baDha hai to ye ehsas hua hai
lafzon ke libaade mein chhupi baat ko samjho
kab hum ne teri zat se inkar kiya hai
ek bab ke khulne se kai bab hain khulte
ye ilm ka nukta mujhe ek dar se mila hai
har baat ke parde mein koi baat chhupi hai
hum ne tere tewar se ye pahchan liya hai
shayad ki koi rabt ki surat nikal aae
be-rabt ibarat ko kai bar paDha hai
ek KHauf musallat hai sabhi bagh pe 'asif'
phulon ne bhi KHushbu ko yahan qaid kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.