ghar ke barbaad sahi ruh ke aabaad hain hum
ghar ke barbād sahī ruuh ke ābād haiñ ham
ye ḳhabar kis ne uḌaa.ī hai ki nāshād haiñ ham
apne miTne kā koī ġham na karo ham-nafasāñ
ik na ik shakl meñ duniyā ko abhī yaad haiñ ham
apne afsānoñ ke unvān judāgāna haiñ
ik na.e daur ke mansūr haiñ farhād haiñ ham
pesh-e-bedād-o-sitam sar na hue ḳham apne
go ki auroñ kī tarah kushta-e-bedād haiñ ham
ham ne tasvīr jo fardā kī banānā chāhī
log kahte haiñ faqat haal ke naqqād haiñ ham
ghar ke barbaad sahi ruh ke aabaad hain hum
ye KHabar kis ne uDai hai ki nashad hain hum
apne miTne ka koi gham na karo ham-nafasan
ek na ek shakl mein duniya ko abhi yaad hain hum
apne afsanon ke unwan judagana hain
ek nae daur ke mansur hain farhad hain hum
pesh-e-bedad-o-sitam sar na hue KHam apne
go ki auron ki tarah kushta-e-bedad hain hum
hum ne taswir jo farda ki banana chahi
log kahte hain faqat haal ke naqqad hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.