ghar ke fard apne ghar ko bhul gae
ghar ke fard apne ghar ko bhuul ga.e
ham-safar ham-safar ko bhuul ga.e
thī na pahchān kuchh bhī jin ke baġhair
log unhīñ bām-o-dar ko bhuul ga.e
bārhā ishq meñ fareb milā
bārhā dard-e-sar ko bhuul ga.e
turshiyoñ ko lagā ke muñh ham log
lutf-e-shīr-o-shakar ko bhuul ga.e
ġhair par munhasir hue jab ham
apne dast-e-hunar ko bhuul ga.e
pher meñ jab se pattharoñ ke paḌe
shīshagar shīshagar ko bhuul ga.e
nazroñ vaale bhī ho ga.e rū-posh
ham bhī ahl-e-nazar ko bhuul ga.e
ham se qurbat baḌhā ke taa.ir bhī
masraf-e-bāl-o-par ko bhuul ga.e
is qadar pech-o-ḳham mile ke 'nihāl'
ham rah-e-mo'tabar ko bhuul ga.e
ghar ke fard apne ghar ko bhul gae
ham-safar ham-safar ko bhul gae
thi na pahchan kuchh bhi jin ke baghair
log unhin baam-o-dar ko bhul gae
barha ishq mein fareb mila
barha dard-e-sar ko bhul gae
turshiyon ko laga ke munh hum log
lutf-e-shir-o-shakar ko bhul gae
ghair par munhasir hue jab hum
apne dast-e-hunar ko bhul gae
pher mein jab se pattharon ke paDe
shishagar shishagar ko bhul gae
nazron wale bhi ho gae ru-posh
hum bhi ahl-e-nazar ko bhul gae
hum se qurbat baDha ke tair bhi
masraf-e-baal-o-par ko bhul gae
is qadar pech-o-KHam mile ke 'nihaal'
hum rah-e-mo'tabar ko bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.