ghar ke pahlu mein khaDa tha jo shajar KHatm hua
ghar ke pahlū meñ khaḌā thā jo shajar ḳhatm huā
ab darīche se havāoñ kā guzar ḳhatm huā
lambī bīmārī ne kal āḳhrī hichkī le lī
zindagī jiit ga.ī maut kā Dar ḳhatm huā
ruuh ko chāhiye aisā koī jismānī paḌāo
jis ko chhūte hī lage aaj safar ḳhatm huā
shaam thī maiñ ne jise vaqt-e-sahar maan liyā
raat ghir aa.ī to nairang-e-nazar ḳhatm huā
muḌ ke jaate hue maiñ ne use dekhā bhī nahīñ
aur jab baa'd meñ ġhusse kā asar ḳhatm huā
ye jo nisbat hai 'ajab shai hai zarā dekheñ bhalā
ek insān gayā saarā nagar ḳhatm huā
ghar ke pahlu mein khaDa tha jo shajar KHatm hua
ab dariche se hawaon ka guzar KHatm hua
lambi bimari ne kal aaKHri hichki le li
zindagi jit gai maut ka Dar KHatm hua
ruh ko chahiye aisa koi jismani paDao
jis ko chhute hi lage aaj safar KHatm hua
sham thi main ne jise waqt-e-sahar man liya
raat ghir aai to nairang-e-nazar KHatm hua
muD ke jate hue main ne use dekha bhi nahin
aur jab ba'd mein ghusse ka asar KHatm hua
ye jo nisbat hai 'ajab shai hai zara dekhen bhala
ek insan gaya sara nagar KHatm hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.