ghar ki diwar pe kyon likkha ki ghar Khaali hai
ghar kī dīvār pe kyoñ likkhā ki ghar ḳhālī hai
itnī vahshat se bharā hai ye kidhar ḳhālī hai
aap mahsūs na kar pā.eñge mere dukh ko
shaam hone ko hai aur saarā shajar ḳhālī hai
terī marzī hai tū chāhe to kare dil ābād
ik tire vāste ye bār-e-digar ḳhālī hai
maiñ ne ḳhuuñ se nahīñ ashkoñ se likhā thā vo ḳhat
is meñ likkhā to bahut kuchh thā magar ḳhālī hai
ab bhalā kaise paḌegī mire din meñ barkat
aap ke pyaar se jo merī sahar ḳhālī hai
koī jaatā hī nahīñ dasht siyāhat ke liye
ek muddat se to ye rāh-guzar ḳhālī hai
ghar kahāñ bantā hai ārā.ish-e-ashyā se 'asar'
jis meñ bahneñ nahīñ hotī haiñ vo ghar ḳhālī hai
ghar ki diwar pe kyon likkha ki ghar KHali hai
itni wahshat se bhara hai ye kidhar KHali hai
aap mahsus na kar paenge mere dukh ko
sham hone ko hai aur sara shajar KHali hai
teri marzi hai tu chahe to kare dil aabaad
ek tere waste ye bar-e-digar KHali hai
main ne KHun se nahin ashkon se likha tha wo KHat
is mein likkha to bahut kuchh tha magar KHali hai
ab bhala kaise paDegi mere din mein barkat
aap ke pyar se jo meri sahar KHali hai
koi jata hi nahin dasht siyahat ke liye
ek muddat se to ye rah-guzar KHali hai
ghar kahan banta hai aaraish-e-ashya se 'asar'
jis mein bahnen nahin hoti hain wo ghar KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.