ghar ki khiDki mein sar-e-sham diya rakhta hai
ghar ki khiDki mein sar-e-sham diya rakhta hai
Azimuddin Sahil Kalamnoori
MORE BYAzimuddin Sahil Kalamnoori
ghar kī khiḌkī meñ sar-e-shām diyā rakhtā hai
kis ke aane kī vo ummīd lagā rakhtā hai
us se Takrā ke balā.eñ bhī palaT jaatī haiñ
saath apne jo buzurgoñ kī duā rakhtā hai
ek muddat se musalsal hai talāsh-e-rishta
vaqt kab dekhiye hāthoñ pe hinā rakhtā hai
us kī rahmat se na māyūs kabhī tum honā
pyaar bandoñ se vo maaoñ se sivā rakhtā hai
kyoñ nahīñ sīkhtā insān qanā.at kā sabaq
ik parinda to batāo jo bachā rakhtā hai
rakh nahīñ saktā kabhī rehn ġharībī apnī
apne andar jo zarā sī bhī aanā rakhtā hai
dekh 'sāhil' vahī pā.egā yaqīnan manzil
ho ke nākām bhī jo azm nayā rakhtā hai
ghar ki khiDki mein sar-e-sham diya rakhta hai
kis ke aane ki wo ummid laga rakhta hai
us se Takra ke balaen bhi palaT jati hain
sath apne jo buzurgon ki dua rakhta hai
ek muddat se musalsal hai talash-e-rishta
waqt kab dekhiye hathon pe hina rakhta hai
us ki rahmat se na mayus kabhi tum hona
pyar bandon se wo maon se siwa rakhta hai
kyon nahin sikhta insan qanaat ka sabaq
ek parinda to batao jo bacha rakhta hai
rakh nahin sakta kabhi rehn gharibi apni
apne andar jo zara si bhi aana rakhta hai
dekh 'sahil' wahi paega yaqinan manzil
ho ke nakaam bhi jo azm naya rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.