ghar ki khiDki se bahar ke manzar ko Darte hue dekhna
ghar kī khiḌkī se bāhar ke manzar ko Darte hue dekhnā
guftugū kuchh ishāroñ se logoñ ko karte hue dekhnā
jāgnā ḳhauf-e-shab-ḳhūñ se sahme makīnoñ ko aur raat bhar
kuchh saroñ ko fasīloñ se uupar ubharte hue dekhnā
rābtoñ kā ta.attul muqaffal gharoñ kā muqaddar huā
ab to mushkil hai ik dūsre ko bhī marte hue dekhnā
sā.at-e-hijr meñ vasl ke pul kī mānind panchhī uḌeñ
kitnā ḳhush-kun hai in ko saroñ se guzarte hue dekhnā
jab use sochnā to kisī ḳhvāb raste ke pechāk se
dil kī samt us ko ziina ba ziina utarte hue dekhnā
ghar ki khiDki se bahar ke manzar ko Darte hue dekhna
guftugu kuchh ishaaron se logon ko karte hue dekhna
jagna KHauf-e-shab-KHun se sahme makinon ko aur raat bhar
kuchh saron ko fasilon se upar ubharte hue dekhna
rabton ka tattul muqaffal gharon ka muqaddar hua
ab to mushkil hai ek dusre ko bhi marte hue dekhna
saat-e-hijr mein wasl ke pul ki manind panchhi uDen
kitna KHush-kun hai in ko saron se guzarte hue dekhna
jab use sochna to kisi KHwab raste ke pechaak se
dil ki samt us ko zina ba zina utarte hue dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.