ghar ki surat jo bhi ho us par hirasan main nahin
ghar kī sūrat jo bhī ho us par hirāsāñ maiñ nahīñ
dar muqaffal haiñ to dīvāroñ se larzāñ maiñ nahīñ
tujh meñ himmat hai so phir shīshe meñ mujh ko bhī utaar
haañ magar ye jaan le itnā bhī āsāñ maiñ nahīñ
nafratoñ kī tah meñ kitnī chāhateñ haiñ ye to soch
tū gurezāñ ho to ho tujh se gurezāñ maiñ nahīñ
raushnī dil meñ agar ho ik sitāra hī bahut
Dūbte sūraj ke manzar se pareshāñ maiñ nahīñ
maiñ ki apnī zaat meñ sho.ala bhī huuñ shabnam bhī huuñ
phir bhī apne-āp se dast-o-garebāñ maiñ nahīñ
rāste ke pech-o-ḳham mere lahū kī taak meñ
baḳht ke andhe kueñ meñ pā-ba-jaulāñ maiñ nahīñ
mausamoñ kī dhuup se kajlā gayā chehre kā rañg
aadmī huuñ be-niyām-e-barq-o-tūfāñ maiñ nahīñ
sochtā huuñ kis ḳharābe meñ mujhe laayā gayā
apne hone par ba-har-sūrat pashemāñ maiñ nahīñ
ghar ki surat jo bhi ho us par hirasan main nahin
dar muqaffal hain to diwaron se larzan main nahin
tujh mein himmat hai so phir shishe mein mujh ko bhi utar
han magar ye jaan le itna bhi aasan main nahin
nafraton ki tah mein kitni chahaten hain ye to soch
tu gurezan ho to ho tujh se gurezan main nahin
raushni dil mein agar ho ek sitara hi bahut
Dubte suraj ke manzar se pareshan main nahin
main ki apni zat mein shoala bhi hun shabnam bhi hun
phir bhi apne-ap se dast-o-gareban main nahin
raste ke pech-o-KHam mere lahu ki tak mein
baKHt ke andhe kuen mein pa-ba-jaulan main nahin
mausamon ki dhup se kajla gaya chehre ka rang
aadmi hun be-niyam-e-barq-o-tufan main nahin
sochta hun kis KHarabe mein mujhe laya gaya
apne hone par ba-har-surat pasheman main nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.