ghar ko bhi ghar kar na pae aur na virani mili
ghar ko bhī ghar kar na paa.e aur na vīrānī milī
bas yahī mushkil thī apnī sirf āsānī milī
muntazir kitne ḳhudā the har taraf ab kyā kaheñ
jab ke sajdoñ ke liye bas ek peshānī milī
is galī se aaj muddat baad jaanā phir huā
aaj bhī hairat se taktī ham ko hairānī milī
ajnabī is bhiiḌ meñ tanhā.ī bhī aa.ī nazar
dil ko kuchh taskīñ huī ik shakl pahchānī milī
āñsuoñ se raat jo nam ho gayā thā be-tarah
aap ke is ḳhvāb ko kyā phir se tābānī milī
ghar ko bhi ghar kar na pae aur na virani mili
bas yahi mushkil thi apni sirf aasani mili
muntazir kitne KHuda the har taraf ab kya kahen
jab ke sajdon ke liye bas ek peshani mili
is gali se aaj muddat baad jaana phir hua
aaj bhi hairat se takti hum ko hairani mili
ajnabi is bhiD mein tanhai bhi aai nazar
dil ko kuchh taskin hui ek shakl pahchani mili
aansuon se raat jo nam ho gaya tha be-tarah
aap ke is KHwab ko kya phir se tabani mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.