ghar ko wapas ja rahe hain kar ke duniya ko salam
ghar ko vāpas jā rahe haiñ kar ke duniyā ko salām
qabr ke goshe meñ hogā mustaqil apnā qiyām
guftugū meñ kuchh na thā harza-sarā.ī ke sivā
log samjhe the agarche aadmī hai ḳhush-kalām
apne 'ālam meñ agarche ham bahut majbūr the
le rahī haiñ hasrateñ ḳhud zindagī se intiqām
kaaT dī jaisī kaTī shikva shikāyat kuchh nahīñ
'āqibat ke vāste garche nahīñ hai insirām
jo 'alālat meñ na de paa.e kabhī do ghūñT aab
kar rahe haiñ shauq se vo ġhusl kā ab intizām
hashr tak ārām se miTTī meñ niiñd aa jā.egī
gar du'ā meñ yaad rakkheñge yahāñ sab ḳhās-o-'ām
kārvāñ kyā kaisī manzil ḳhud 'ḳhizar' behosh haiñ
rāste meñ hai añdherā ho gayā qissa tamām
ghar ko wapas ja rahe hain kar ke duniya ko salam
qabr ke goshe mein hoga mustaqil apna qiyam
guftugu mein kuchh na tha harza-sarai ke siwa
log samjhe the agarche aadmi hai KHush-kalam
apne 'alam mein agarche hum bahut majbur the
le rahi hain hasraten KHud zindagi se intiqam
kaT di jaisi kaTi shikwa shikayat kuchh nahin
'aqibat ke waste garche nahin hai insiram
jo 'alalat mein na de pae kabhi do ghunT aab
kar rahe hain shauq se wo ghusl ka ab intizam
hashr tak aaram se miTTi mein nind aa jaegi
gar du'a mein yaad rakkhenge yahan sab KHas-o-'am
karwan kya kaisi manzil KHud 'KHizar' behosh hain
raste mein hai andhera ho gaya qissa tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.