ghar ko virana karen aish ki parwa na karen
ghar ko vīrāna kareñ aish kī parvā na kareñ
terī āñkhoñ kā ishāra ho to kyā kyā na kareñ
dast-e-vahshat ho to kyoñ baat junūñ kī jaa.e
jeb-o-dāman haiñ to kyoñ gul kī tamannā na kareñ
aap se merī guzārish hai kyoñ yuuñ shām-o-sahar
merī ḳhvāhish se ziyāda mujhe dekhā na kareñ
kaun dekhe chaman-e-dahr meñ gul kī sūrat
ham agar dīda-e-pur-nam se sañvārā na kareñ
kaise taaza ho tire gesū-e-ḳhamdār kī yaad
ham jo rāh-e-rasan-o-dār se guzrā na kareñ
vo bhī kis dil se suneñ kushta-e-ġham kī rūdād
ham bhī kis muñh se bayāñ dard kā afsāna kareñ
ghar ko virana karen aish ki parwa na karen
teri aankhon ka ishaara ho to kya kya na karen
dast-e-wahshat ho to kyon baat junun ki jae
jeb-o-daman hain to kyon gul ki tamanna na karen
aap se meri guzarish hai kyon yun sham-o-sahar
meri KHwahish se ziyaada mujhe dekha na karen
kaun dekhe chaman-e-dahr mein gul ki surat
hum agar dida-e-pur-nam se sanwara na karen
kaise taza ho tere gesu-e-KHamdar ki yaad
hum jo rah-e-rasan-o-dar se guzra na karen
wo bhi kis dil se sunen kushta-e-gham ki rudad
hum bhi kis munh se bayan dard ka afsana karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.