ghar mein chizen aaengi barkat barasti jaegi
ghar meñ chīzeñ ā.eñgī barkat barastī jā.egī
us ke chakkar meñ ye mumkin hai ki hastī jā.egī
minnateñ karte the kab ye tang-dastī jā.egī
kyā pata thā saath meñ vo mauj mastī jā.egī
mujh ko naddī de na paa.ī ek bhī paanī kī buuñd
mujh ko pyāsā rakh ke vo ḳhud bhī tarastī jā.egī
ham ne to be-sāḳhta āġhosh meñ us ko liyā
kyā pata thā zindagī yuuñ ham ko kastī jā.egī
kashmakash meñ hī rahe aur ham kahīñ ke ho na paa.e
haq-parastī jā.egī yā ghar-grihastī jā.egī
mujh talak mahdūd hai merī sadā mā'lūm hai
dekhnā merī ḳhamoshī bastī bastī jā.egī
tujh meñ ḳhūbī hai to 'zarra' muft meñ tū baañT de
bechne jā.egā to ye ḳhuub sastī jā.egī
ghar mein chizen aaengi barkat barasti jaegi
us ke chakkar mein ye mumkin hai ki hasti jaegi
minnaten karte the kab ye tang-dasti jaegi
kya pata tha sath mein wo mauj masti jaegi
mujh ko naddi de na pai ek bhi pani ki bund
mujh ko pyasa rakh ke wo KHud bhi tarasti jaegi
hum ne to be-saKHta aaghosh mein us ko liya
kya pata tha zindagi yun hum ko kasti jaegi
kashmakash mein hi rahe aur hum kahin ke ho na pae
haq-parasti jaegi ya ghar-grihasti jaegi
mujh talak mahdud hai meri sada ma'lum hai
dekhna meri KHamoshi basti basti jaegi
tujh mein KHubi hai to 'zarra' muft mein tu banT de
bechne jaega to ye KHub sasti jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.