ghar mein daraD Dalte rishton ki KHair ho
ghar meñ darāḌ Dālte rishtoñ kī ḳhair ho
is āstīñ meñ aa base sāñpoñ kī ḳhair ho
vo TūTne lagīñ to suhūlat mujhe bhī hai
shab meñ qarār baḳhshte tāroñ kī ḳhair ho
ye log har qadam pe girāne lage mujhe
lekin sambhāltī tirī bāñhoñ kī ḳhair ho
tū jo nahīñ to phuul to haiñ ās-pās bhī
is habs meñ khile hue ġhunchoñ kī ḳhair ho
ruk sā gayā nadī kā bahāv baras se thā
us meñ dhule hue tire pairoñ kī ḳhair ho
jis samt huuñ ravāñ-davāñ manzil bhī hai vahīñ
rastoñ meñ jā-ba-jā paḌe kāñToñ kī ḳhair ho
maiñ kyā kahūñ ki kitne zamāne guzar ga.e
hisse meñ mere aa.eñ na ḳhushiyoñ kī ḳhair ho
mauj-e-fanā ne dasht meñ lā kar jhaTak diyā
hairat se dekhtī tirī āñkhoñ kī ḳhair ho
ye iztirāb-e-ishq se tohfa milā mujhe
muñh ko chiḌā rahe tire lafzoñ kī ḳhair ho
bāġhoñ meñ sair karte hue jugnuoñ meñ tum
tum se ziyā pakaḌte charāġhoñ kī ḳhair ho
un ke sabab se hī huī maiñ dar se be-amāñ
'an.am' tumhāre haal pe hañstoñ kī ḳhair ho
ghar mein daraD Dalte rishton ki KHair ho
is aastin mein aa base sanpon ki KHair ho
wo TuTne lagin to suhulat mujhe bhi hai
shab mein qarar baKHshte taron ki KHair ho
ye log har qadam pe girane lage mujhe
lekin sambhaalti teri banhon ki KHair ho
tu jo nahin to phul to hain aas-pas bhi
is habs mein khile hue ghunchon ki KHair ho
ruk sa gaya nadi ka bahaw baras se tha
us mein dhule hue tere pairon ki KHair ho
jis samt hun rawan-dawan manzil bhi hai wahin
raston mein ja-ba-ja paDe kanTon ki KHair ho
main kya kahun ki kitne zamane guzar gae
hisse mein mere aaen na KHushiyon ki KHair ho
mauj-e-fana ne dasht mein la kar jhaTak diya
hairat se dekhti teri aankhon ki KHair ho
ye iztirab-e-ishq se tohfa mila mujhe
munh ko chiDa rahe tere lafzon ki KHair ho
baghon mein sair karte hue jugnuon mein tum
tum se ziya pakaDte charaghon ki KHair ho
un ke sabab se hi hui main dar se be-aman
'anam' tumhaare haal pe hanston ki KHair ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.