ghar mein rahta hun to panw mein safar jagta hai
ghar meñ rahtā huuñ to paañv meñ safar jāgtā hai
jaise āġhosh meñ dariyā ke bhañvar jāgtā hai
jab kisī ūñchī havelī pe Thahartī hai nigāh
kyoñ usī vaqt mire dil meñ khañDar jāgtā hai
baiTh jaate haiñ ghanī chhāñv meñ ham bhī jis dam
vādī-e-rūh meñ yādoñ kā shajar jāgtā hai
ijz āñkhoñ se Tapaktā hai jab aañsū ban kar
tab kahīñ jā ke duāoñ meñ asar jāgtā hai
baat kyā hai ki hameñ aatī nahīñ gahrī niiñd
band hotī haiñ agar palkeñ to sar jāgtā hai
kuchh ajab hotā hai vo lamha-e-taḳhlīq 'zafar'
dast-e-fan-kār meñ jab vaqt-e-hunar jāgtā he
ghar mein rahta hun to panw mein safar jagta hai
jaise aaghosh mein dariya ke bhanwar jagta hai
jab kisi unchi haweli pe Thaharti hai nigah
kyon usi waqt mere dil mein khanDar jagta hai
baiTh jate hain ghani chhanw mein hum bhi jis dam
wadi-e-ruh mein yaadon ka shajar jagta hai
ijz aankhon se Tapakta hai jab aansu ban kar
tab kahin ja ke duaon mein asar jagta hai
baat kya hai ki hamein aati nahin gahri nind
band hoti hain agar palken to sar jagta hai
kuchh ajab hota hai wo lamha-e-taKHliq 'zafar'
dast-e-fan-kar mein jab waqt-e-hunar jagta he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.