ghar mujhe bech ke ab raKHt-e-safar lena hai
ghar mujhe bech ke ab raKHt-e-safar lena hai
Iqbal Ashhar Quraishi
MORE BYIqbal Ashhar Quraishi
ghar mujhe bech ke ab raḳht-e-safar lenā hai
ġhalatī hī sahī ik baar to kar lenā hai
zarf ye hai ki tujhe dasht meñ paanī kī talāsh
aur mujhe ḳhushk samundar se guhar lenā hai
apne andar jo chhupā rakhā hai us ne ik raaz
vo ijāzat to nahīñ degā magar lenā hai
kyoñ jalātā hai ye sahrā mujhe mālūm hai sab
apne dāman ko mirī raakh se bhar lenā hai
ishq ko naam kisī rishta-e-taqdīs kā deñ
yahī ilzām ba-andāz-e-digar lenā hai
ghar mujhe bech ke ab raKHt-e-safar lena hai
ghalati hi sahi ek bar to kar lena hai
zarf ye hai ki tujhe dasht mein pani ki talash
aur mujhe KHushk samundar se guhar lena hai
apne andar jo chhupa rakha hai us ne ek raaz
wo ijazat to nahin dega magar lena hai
kyon jalata hai ye sahra mujhe malum hai sab
apne daman ko meri rakh se bhar lena hai
ishq ko nam kisi rishta-e-taqdis ka den
yahi ilzam ba-andaz-e-digar lena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.