ghar mujhe raat bhar Darae gaya
ghar mujhe raat bhar Darā.e gayā
maiñ diyā ban ke jhilmilā.e gayā
kal kisī ajnabī kā husn mujhe
yaad aayā to yaad aa.e gayā
koī ghā.el zamīñ kī āñkhoñ meñ
niiñd kī koñpleñ bichhā.e gayā
safar-e-ishq meñ badan us kā
duur se raushnī dikhā.e gayā
apnī lahroñ meñ rañj kā mausam
āñsuoñ ke kañval khilā.e gayā
shahr kā ek barg-e-āvāra
dasht-o-dar kī hañsī uḌaa.e gayā
aur mirā tiin saal kā bachcha
is himāqat pe muskurā.e gayā
mujh meñ kyā baat thī ra.īs-faroġh
vo sajan kyuuñ mujhe rijhā.e gayā
ghar mujhe raat bhar Darae gaya
main diya ban ke jhilmilae gaya
kal kisi ajnabi ka husn mujhe
yaad aaya to yaad aae gaya
koi ghael zamin ki aankhon mein
nind ki konplen bichhae gaya
safar-e-ishq mein badan us ka
dur se raushni dikhae gaya
apni lahron mein ranj ka mausam
aansuon ke kanwal khilae gaya
shahr ka ek barg-e-awara
dasht-o-dar ki hansi uDae gaya
aur mera tin sal ka bachcha
is himaqat pe muskurae gaya
mujh mein kya baat thi rais-farogh
wo sajan kyun mujhe rijhae gaya
- Book : Ghazalistaan (Pg. 208)
- Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri
- Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.