ghar nahin rahguzar mein rahta hai
ghar nahīñ rahguzar meñ rahtā hai
paañv merā safar meñ rahtā hai
vo chalā jaa.e to bhī pahroñ tak
us kā chehra nazar meñ rahtā hai
jā chukā hai jo bazm-e-hastī se
vo bhī dīvār-o-dar meñ rahtā hai
chārāgar kā karam to hai phir bhī
dard hī dard sar meñ rahtā hai
jis ne tashkīl kī hai merī 'kañval'
mere qalb-o-jigar meñ rahtā hai
ghar nahin rahguzar mein rahta hai
panw mera safar mein rahta hai
wo chala jae to bhi pahron tak
us ka chehra nazar mein rahta hai
ja chuka hai jo bazm-e-hasti se
wo bhi diwar-o-dar mein rahta hai
chaaragar ka karam to hai phir bhi
dard hi dard sar mein rahta hai
jis ne tashkil ki hai meri 'kanwal'
mere qalb-o-jigar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.