ghar pahunch kar dur jate raston ki sochna
ghar pahuñch kar duur jaate rāstoñ kī sochnā
tum se ho paa.e to mere fāsloñ kī sochnā
din guzar jaatā hai andar kā ḳhalā bharte hue
sher likhnā aur bojhal filoñ kī sochnā
rasmī lafzoñ se chukā kar kāġhazoñ ke qarz ko
jo nahīñ likkhe ga.e aise ḳhatoñ kī sochnā
dhund meñ lipTe hue shīshe pe likh kar koī baat
apnī be-matlab pareshāñ uñgliyoñ kī sochnā
raat bhar mahsūr logoñ kī duā.eñ māñgnā
phir abābīloñ kī un ke kankaroñ kī sochnā
khojte phirnā havā meñ apne kho.e lams ko
jo kabhī aa.e nahīñ un mausamoñ kī sochnā
ghar pahunch kar dur jate raston ki sochna
tum se ho pae to mere faslon ki sochna
din guzar jata hai andar ka KHala bharte hue
sher likhna aur bojhal filon ki sochna
rasmi lafzon se chuka kar kaghazon ke qarz ko
jo nahin likkhe gae aise KHaton ki sochna
dhund mein lipTe hue shishe pe likh kar koi baat
apni be-matlab pareshan ungliyon ki sochna
raat bhar mahsur logon ki duaen mangna
phir ababilon ki un ke kankaron ki sochna
khojte phirna hawa mein apne khoe lams ko
jo kabhi aae nahin un mausamon ki sochna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.