ghar se bahar nikal ke dekh zara
ghar se bāhar nikal ke dekh zarā
kaun sahrā meñ de gayā hai sadā
maiñ ne jab us kī ḳhairiyat pūchhī
us ne bātoñ meñ mujh ko Taal diyā
kitne pankhe lagā diye chhat meñ
phir bhī garmī kā zor kam na huā
ūñchī ūñchī imāratoñ meñ kahāñ
jo sukūñ dil ko jhoñpaḌe meñ milā
saath chalte haiñ log pal do pal
tai huā hai har ik safar tanhā
aa ke jangal meñ chain se rahiye
raat ik bheḌiyā pukār gayā
Hyderabad meñ ‘alī-asġhar'
ek mela sā maqbaroñ pe lagā
ghar se bahar nikal ke dekh zara
kaun sahra mein de gaya hai sada
main ne jab us ki KHairiyat puchhi
us ne baaton mein mujh ko Tal diya
kitne pankhe laga diye chhat mein
phir bhi garmi ka zor kam na hua
unchi unchi imaraton mein kahan
jo sukun dil ko jhonpaDe mein mila
sath chalte hain log pal do pal
tai hua hai har ek safar tanha
aa ke jangal mein chain se rahiye
raat ek bheDiya pukar gaya
Hyderabad mein ‘ali-asghar'
ek mela sa maqbaron pe laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.