ghar se bahar nikle hue to ghar tak wapas aao bhi
ghar se bāhar nikle hue to ghar tak vāpas aao bhī
jīvan hī jab ghaat meñ ho to kahīñ kahīñ ruk jaao bhī
us kā kyā hai vo to sab kā tum hī akele phirte ho
ab tum apne akele-pan ko apnā miit banāo bhī
āñkheñ nam thiiñ aur vo aksar naam tumhārā letā thā
jaane vaalā ab na rukegā aa jaao bhī aa jaao bhī
tum ko kaise bhulā saktā hai mai-ḳhāna to tum se thā
dekho jām-o-subū chup chup haiñ aao haath baḌhāo bhī
kal hī to iqbāl 'matīn' jis niim ke nīche baiThā thā
aaj us kā saaya bhī nahīñ hai koī peḌ ugaao bhī
ghar se bahar nikle hue to ghar tak wapas aao bhi
jiwan hi jab ghat mein ho to kahin kahin ruk jao bhi
us ka kya hai wo to sab ka tum hi akele phirte ho
ab tum apne akele-pan ko apna mit banao bhi
aankhen nam thin aur wo aksar nam tumhaara leta tha
jaane wala ab na rukega aa jao bhi aa jao bhi
tum ko kaise bhula sakta hai mai-KHana to tum se tha
dekho jam-o-subu chup chup hain aao hath baDhao bhi
kal hi to iqbaal 'matin' jis nim ke niche baiTha tha
aaj us ka saya bhi nahin hai koi peD ugao bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.