ghar se daftar aur phir daftar se ghar kafi hai kya
ghar se daftar aur phir daftar se ghar kafi hai kya
Kamal Kataria Karan
MORE BYKamal Kataria Karan
ghar se daftar aur phir daftar se ghar kaafī hai kyā
zindagī tū hī batā itnā safar kaafī hai kyā
kaun samjhegā mirī tanhā.iyoñ ke mas.ale
hai zamāna yuuñ to mere saath par kaafī hai kyā
āj-kal mere ta.āqub meñ haiñ āñkheñ yaar kī
ibtidā.ī ishq meñ itnā asar kaafī hai kyā
jal ke marnā chāhiye thā garmī-e-iḳhlās meñ
haif dīvāna huā ḳhasta-jigar kaafī hai kyā
husn tujh meñ aur thoḌī dilkashī darkār hai
ātishīñ-abrū qayāmat sī nazar kaafī hai kyā
ishq mere aur tujh ko kyā vazīfa chāhiye
dekh āḳhir ho gayā maiñ dar-ba-dar kaafī hai kyā
phir anāsir ne badal lī sūrat-e-tartīb aur
ālam-e-hastī huā zer-o-zabar kaafī hai kyā
be-dilī se aa.e the ham bhī kabhī sahrāoñ meñ
dil to yaañ lagne lagā apnā magar kaafī hai kyā
haañ kabhī jhuktā na thā ḳhalq-e-ḳhudā ke sāmne
tere sajdoñ meñ jhukā jaatā hai sar kaafī hai kyā
kyā karūñ aisā ki apne dil meñ vo rakh le mujhe
sun 'karan' ye sher-goī kā hunar kaafī hai kyā
ghar se daftar aur phir daftar se ghar kafi hai kya
zindagi tu hi bata itna safar kafi hai kya
kaun samjhega meri tanhaiyon ke masale
hai zamana yun to mere sath par kafi hai kya
aaj-kal mere taaqub mein hain aankhen yar ki
ibtidai ishq mein itna asar kafi hai kya
jal ke marna chahiye tha garmi-e-iKHlas mein
haif diwana hua KHasta-jigar kafi hai kya
husn tujh mein aur thoDi dilkashi darkar hai
aatishin-abru qayamat si nazar kafi hai kya
ishq mere aur tujh ko kya wazifa chahiye
dekh aaKHir ho gaya main dar-ba-dar kafi hai kya
phir anasir ne badal li surat-e-tartib aur
aalam-e-hasti hua zer-o-zabar kafi hai kya
be-dili se aae the hum bhi kabhi sahraon mein
dil to yan lagne laga apna magar kafi hai kya
han kabhi jhukta na tha KHalq-e-KHuda ke samne
tere sajdon mein jhuka jata hai sar kafi hai kya
kya karun aisa ki apne dil mein wo rakh le mujhe
sun 'karan' ye sher-goi ka hunar kafi hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.