ghar se ghar tak ka rasta na mila
ghar se ghar tak kā rāsta na milā
koī bhī ḳhud meñ jhāñktā na milā
sab ke hamrāh sab ke saa.e the
shahr meñ koī devtā na milā
kitne hoñToñ kā lams yaad rahe
ek bhī naqsh der-pā na milā
raushnī ke safīr lauT ga.e
shahr-dar-shahr rat-jagā na milā
tang thā zaat kā hisār bahut
koī rasta farār kā na milā
kitne aañsū nichoḌ kar dekhe
kho gayā thā jo qahqaha na milā
ham hī the apne ās-pās 'nazar'
raah meñ koī dūsrā na milā
ghar se ghar tak ka rasta na mila
koi bhi KHud mein jhankta na mila
sab ke hamrah sab ke sae the
shahr mein koi dewta na mila
kitne honTon ka lams yaad rahe
ek bhi naqsh der-pa na mila
raushni ke safir lauT gae
shahr-dar-shahr rat-jaga na mila
tang tha zat ka hisar bahut
koi rasta farar ka na mila
kitne aansu nichoD kar dekhe
kho gaya tha jo qahqaha na mila
hum hi the apne aas-pas 'nazar'
rah mein koi dusra na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.