ghar se nikal ke aae hain bazar ke liye
ghar se nikal ke aa.e haiñ bāzār ke liye
ye bhīḌ-bhāḌ achchhī hai be-kār ke liye
ham yaar ke liye haiñ na dīdār ke liye
terrace pe aa ke baiThe haiñ aḳhbār ke liye
dil-jūī kar rahā hai bahut der se tabīb
kyā āḳhirī davā hai ye bīmār ke liye
maiñ ne to is dayār meñ sab kuchh luTā diyā
duniyā safar pe jaatī hai ghar-bār ke liye
mere dil-e-tabāh meñ itnī jagah kahāñ
us ne jagah nikālī hai dīvār ke liye
tum ne to maanā jurm kā iqrār kar liyā
lekin mujhe sazā milī inkār ke liye
ai māh-rū umiid kī koī kiran to ho
ham jaise tīrgī ke giraftār ke liye
aisā nahīñ ki shahr meñ āsāniyāñ na huuñ
lekin vo sab haiñ lamha-e-dushvār ke liye
ghar se nikal ke aae hain bazar ke liye
ye bhiD-bhaD achchhi hai be-kar ke liye
hum yar ke liye hain na didar ke liye
terrace pe aa ke baiThe hain aKHbar ke liye
dil-jui kar raha hai bahut der se tabib
kya aaKHiri dawa hai ye bimar ke liye
main ne to is dayar mein sab kuchh luTa diya
duniya safar pe jati hai ghar-bar ke liye
mere dil-e-tabah mein itni jagah kahan
us ne jagah nikali hai diwar ke liye
tum ne to mana jurm ka iqrar kar liya
lekin mujhe saza mili inkar ke liye
ai mah-ru umid ki koi kiran to ho
hum jaise tirgi ke giraftar ke liye
aisa nahin ki shahr mein aasaniyan na hun
lekin wo sab hain lamha-e-dushwar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.