ghar se nikle hain kisi zalim ke KHwahan ho ke hum
ghar se nikle hain kisi zalim ke KHwahan ho ke hum
Abdul Kareem Shaiq
MORE BYAbdul Kareem Shaiq
ghar se nikle haiñ kisī zālim ke ḳhvāhāñ ho ke ham
phir rahe haiñ aap apne dushman-e-jāñ ho ke ham
dekh kar sumbul ko yaad aa.ī jo zulf-e-ambarīñ
misl-e-bū gulshan se nikle haiñ pareshāñ ho ke ham
chashm-e-tar ne dāman-e-sahrā meñ motī bhar diye
josh-e-vahshat meñ uThe the abr-e-naisāñ ho ke ham
chauñk paḌte haiñ vo ruuyā meñ bhī ham ko dekh kar
shāyad aate haiñ nazar ḳhvāb-e-pareshāñ ho ke ham
hausle parvāz ke nikle haiñ mar-miTne ke baad
uḌte phirte haiñ ġhubār-e-kū-e-jānāñ ho ke ham
intihā-e-lāġharī ne kar diyā qissa darāz
jī rahe haiñ maut kī nazroñ se pinhāñ ho ke ham
dekh kar dil TūTtā hai 'shā.eq' anjām-e-habāb
kyā kareñge bahr-e-ālam meñ numāyāñ ho ke ham
ghar se nikle hain kisi zalim ke KHwahan ho ke hum
phir rahe hain aap apne dushman-e-jaan ho ke hum
dekh kar sumbul ko yaad aai jo zulf-e-ambarin
misl-e-bu gulshan se nikle hain pareshan ho ke hum
chashm-e-tar ne daman-e-sahra mein moti bhar diye
josh-e-wahshat mein uThe the abr-e-naisan ho ke hum
chaunk paDte hain wo ruya mein bhi hum ko dekh kar
shayad aate hain nazar KHwab-e-pareshan ho ke hum
hausle parwaz ke nikle hain mar-miTne ke baad
uDte phirte hain ghubar-e-ku-e-jaanan ho ke hum
intiha-e-laghari ne kar diya qissa daraaz
ji rahe hain maut ki nazron se pinhan ho ke hum
dekh kar dil TuTta hai 'shaeq' anjam-e-habab
kya karenge bahr-e-alam mein numayan ho ke hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.