Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar se nikle hue bhi bahut din hue

Hazrat Shah

ghar se nikle hue bhi bahut din hue

Hazrat Shah

MORE BYHazrat Shah

    ghar se nikle hue bhī bahut din hue

    un ko dekhe hue bhī bahut din hue

    shahr ḳhāmosh hai us ne honā thā

    ham ko bole hue bhī bahut din hue

    maiñ na guzrūñgā rastoñ se ghar ke tire

    garche guzre hue bhī bahut din hue

    achchhā chehra kahīñ koī dekhā nahīñ

    dil ko dhaḌke hue bhī bahut din hue

    koī qāsid nahīñ koī sūrat nahīñ

    ḳhat ko likkhe hue bhī bahut din hue

    dil ko manzūr kab koī badnām ho

    aañsū roke hue bhī bahut din hue

    jis samundar meñ hai shaah kashtī mirī

    us meñ Duube hue bhī bahut din hue

    ghar se nikle hue bhi bahut din hue

    un ko dekhe hue bhi bahut din hue

    shahr KHamosh hai us ne hona hi tha

    hum ko bole hue bhi bahut din hue

    main na guzrunga raston se ghar ke tere

    garche guzre hue bhi bahut din hue

    achchha chehra kahin koi dekha nahin

    dil ko dhaDke hue bhi bahut din hue

    koi qasid nahin koi surat nahin

    KHat ko likkhe hue bhi bahut din hue

    dil ko manzur kab koi badnam ho

    aansu roke hue bhi bahut din hue

    jis samundar mein hai shah kashti meri

    us mein Dube hue bhi bahut din hue

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 301)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now