ghar to luTta hai magar hum ko miTane wale
ghar to luTtā hai magar ham ko miTāne vaale
kaun se des se lā.eñge zamāne vaale
dhuup baḳhshī hai to phir sāya-e-dīvār bhī de
log sūraj ko haiñ ma.abūd banāne vaale
dil ko āmāda-e-tajdīd-e-vafā kaise karūñ
ris rahe haiñ abhī nāsūr purāne vaale
yuuñ to milte haiñ har ik jism pe be-dāġh libās
uTh ga.e dil pe magar daaġh uThāne vaale
ghar meñ ghar kī koī sūrat to nikāleñ 'ābid'
aane vaale haiñ kabhī ke nahīñ aane vaale
ghar to luTta hai magar hum ko miTane wale
kaun se des se laenge zamane wale
dhup baKHshi hai to phir saya-e-diwar bhi de
log suraj ko hain mabud banane wale
dil ko aamada-e-tajdid-e-wafa kaise karun
ris rahe hain abhi nasur purane wale
yun to milte hain har ek jism pe be-dagh libas
uTh gae dil pe magar dagh uThane wale
ghar mein ghar ki koi surat to nikalen 'abid'
aane wale hain kabhi ke nahin aane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.