ghar wale bhi soe hain abhi shab bhi ghani hai
ghar vaale bhī so.e haiñ abhī shab bhī ghanī hai
aa jaanā mire pīchhe jahāñ nāg-phanī hai
rusvā huī kuchh tyaag ke tū pyaar ke sambañdh
kuchh bā.is-e-tash.hīr mirī be-vatanī hai
sau baar mirā terā milan moh huā hai
kis naaz kas andāz pe tū itnā tanī hai
āñkhoñ kā subhāv hai ki sub.hoñ kī kañvalTā
palkoñ kā jhukāv hai ki neze kī anī hai
āḳhir kabhī tai hogā yūñhī nit kā bichhaḌnā
tujh mujh meñ ka.ī jīvanoñ janmoñ se Thanī hai
sirf ik se mohabbat nahīñ ab Thānī hai dil ne
jo jī ko lubhā.e vahī hiire kī kanī hai
ghar wale bhi soe hain abhi shab bhi ghani hai
aa jaana mere pichhe jahan nag-phani hai
ruswa hui kuchh tyag ke tu pyar ke sambandh
kuchh bais-e-tashhir meri be-watani hai
sau bar mera tera milan moh hua hai
kis naz kas andaz pe tu itna tani hai
aankhon ka subhaw hai ki subhon ki kanwalTa
palkon ka jhukaw hai ki neze ki ani hai
aaKHir kabhi tai hoga yunhi nit ka bichhaDna
tujh mujh mein kai jiwanon janmon se Thani hai
sirf ek se mohabbat nahin ab Thani hai dil ne
jo ji ko lubhae wahi hire ki kani hai
- Book : Ban Baas (Pg. 451)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.