gharanon se mohabbat ki fazaen chhin lete hain
gharānoñ se mohabbat kī fazā.eñ chhīn lete haiñ
sitamgar phuul se bachchoñ kī maa.eñ chhīn lete haiñ
hamāre bādshāhoñ ko hai nafrat shor se itnī
ki mazlūmoñ se rone kī sadā.eñ chhīn lete haiñ
kahīñ haiñ kufr ke fatve kahīñ shor-e-malāmat hai
ḳhudā jab log ban jaa.eñ jazā.eñ chhīn lete haiñ
ilāhī terī bastī meñ ye kaise log baste haiñ
saroñ par haath rakhte haiñ ridā.eñ chhīn lete haiñ
kisī muflis kī majbūrī kisī kī bhuuk kā saudā
ḳhudā ke naam par zālim qabā.eñ chhīn lete haiñ
zabān-e-narm se karte haiñ pahle pyaar kī bāteñ
bulā kar paas phir jabran hayā.eñ chhīn lete haiñ
mirī khiḌkī ke aage log uThā dete haiñ dīvāreñ
mire kamre ke hisse kī havā.eñ chhīn lete haiñ
mohabbat Dher par kachre ke har ik jā bilaktī hai
ki tohmat bāñTne vaale vafā.eñ chhīn lete haiñ
batāo kis tarah 'tashna' yahāñ sairāb ho koī
samundar ḳhushk sahrā se ghaTā.eñ chhīn lete haiñ
gharanon se mohabbat ki fazaen chhin lete hain
sitamgar phul se bachchon ki maen chhin lete hain
hamare baadshahon ko hai nafrat shor se itni
ki mazlumon se rone ki sadaen chhin lete hain
kahin hain kufr ke fatwe kahin shor-e-malamat hai
KHuda jab log ban jaen jazaen chhin lete hain
ilahi teri basti mein ye kaise log baste hain
saron par hath rakhte hain ridaen chhin lete hain
kisi muflis ki majburi kisi ki bhuk ka sauda
KHuda ke nam par zalim qabaen chhin lete hain
zaban-e-narm se karte hain pahle pyar ki baaten
bula kar pas phir jabran hayaen chhin lete hain
meri khiDki ke aage log uTha dete hain diwaren
mere kamre ke hisse ki hawaen chhin lete hain
mohabbat Dher par kachre ke har ek ja bilakti hai
ki tohmat banTne wale wafaen chhin lete hain
batao kis tarah 'tashna' yahan sairab ho koi
samundar KHushk sahra se ghaTaen chhin lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.