gharaunda jism ka TuTa to ji aman mein hai
gharauñdā jism kā TuuTā to jī amaan meñ hai
ye kaisā shor magar mere vārisān meñ hai
badan ko garm-nigāhī se phūñkne vaale
tirā ḳhayāl bhī jalte hue makān meñ hai
ghanere peḌ ke saa.e pukārte haiñ magar
kisī ke paañv kī āvāz mere kaan meñ hai
mire qadam bhī irādoñ kā saath chhoḌ ga.e
na jaane kaun sī manzil mire gumān meñ hai
na mil sakegā kisī bādshāh ke ghar bhī
ḳhulūs vo jo faqīroñ ke ek paan meñ hai
zamīn chhū ga.iiñ maġhrūr Topiyāñ āḳhir
vo chahchahā mirī ġhazloñ kā āsmān meñ hai
suḳhan kā shahr mujhe bhī 'ra.īs' kahtā hai
fasāhatoñ kā ḳhazāna mirī zabān meñ hai
gharaunda jism ka TuTa to ji aman mein hai
ye kaisa shor magar mere warisan mein hai
badan ko garm-nigahi se phunkne wale
tera KHayal bhi jalte hue makan mein hai
ghanere peD ke sae pukarte hain magar
kisi ke panw ki aawaz mere kan mein hai
mere qadam bhi iradon ka sath chhoD gae
na jaane kaun si manzil mere guman mein hai
na mil sakega kisi baadshah ke ghar bhi
KHulus wo jo faqiron ke ek pan mein hai
zamin chhu gain maghrur Topiyan aaKHir
wo chahchaha meri ghazlon ka aasman mein hai
suKHan ka shahr mujhe bhi 'rais' kahta hai
fasahaton ka KHazana meri zaban mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.