gharon ko chhoTa dilon ko kushada-tar rakkha
gharoñ ko chhoTā diloñ ko kushāda-tar rakkhā
yuuñ shāḳh-e-naḳhl-e-tamanna ko be-samar rakkhā
gazīdgī se maiñ Dartā thā is liye maiñ ne
kitāb-e-‘umr kā har baab muḳhtasar rakkhā
mujhe yuuñ jānib-e-pindār zindagī laa.ī
mire ziyāñ se mirī maañ ko be-ḳhabar rakkhā
khulā nahīñ abhī dast-e-burīda tujh pe agar
to is faqīr ke kaase meñ kyoñ ye zar rakkhā
charāġh-e-zīst thā raushan havā kī zad meñ 'ahad'
ziyāñ-kade meñ thā to ḳhud ko be-sipar rakkhā
gharon ko chhoTa dilon ko kushada-tar rakkha
yun shaKH-e-naKHl-e-tamanna ko be-samar rakkha
gazidgi se main Darta tha is liye main ne
kitab-e-‘umr ka har bab muKHtasar rakkha
mujhe yun jaanib-e-pindar zindagi lai
mere ziyan se meri man ko be-KHabar rakkha
khula nahin abhi dast-e-burida tujh pe agar
to is faqir ke kase mein kyon ye zar rakkha
charagh-e-zist tha raushan hawa ki zad mein 'ahad'
ziyan-kade mein tha to KHud ko be-sipar rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.