gharon mein shor-e-munajat be-sabab to nahin
gharoñ meñ shor-e-munājāt be-sabab to nahīñ
kahīñ vo rāhib-e-sad-sāla jāñ-balab to nahīñ
charāġh le ke gharoñ se nikalte haiñ chup-chāp
samajh rahā huuñ jise din vo nīm-shab to nahīñ
use bhī bazm se uThvāte haiñ qayāmat hai
unheñ bhī 'ilm hai haq-go hai be-adab to nahīñ
badan ke zaḳhm sitāroñ kī tarh raushan haiñ
kahāñ sidhārūñ yahī hāsil-e-talab to nahīñ
maiñ us ke saath safar meñ huuñ ik zamāne se
mire ḳhudā ye sahar-nā-shanās shab to nahīñ
gharon mein shor-e-munajat be-sabab to nahin
kahin wo rahib-e-sad-sala jaan-balab to nahin
charagh le ke gharon se nikalte hain chup-chap
samajh raha hun jise din wo nim-shab to nahin
use bhi bazm se uThwate hain qayamat hai
unhen bhi 'ilm hai haq-go hai be-adab to nahin
badan ke zaKHm sitaron ki tarh raushan hain
kahan sidhaarun yahi hasil-e-talab to nahin
main us ke sath safar mein hun ek zamane se
mere KHuda ye sahar-na-shanas shab to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.