ghaTa ki mauj rawan hai siyah baalon mein
ghaTā kī mauj ravāñ hai siyāh bāloñ meñ
shab-e-siyah kā dhuāñ hai siyāh bāloñ meñ
vo aaj chhat pe jo aaya hai khol kar gesū
siyāhī ḳhuub ayaañ hai siyāh bāloñ meñ
koī laToñ ko agar dekh le gumāñ hogā
ki jaise naag javāñ hai siyāh bāloñ meñ
ghulī huī hai fazā meñ latīf sī ḳhushbū
ki jaise itr-e-gulāñ hai siyāh bāloñ meñ
Tapak rahī hai jo zulfoñ se bhīgtī sargam
ḳhumār-e-āb-e-ravāñ hai siyāh bāloñ meñ
zabān-e-shauq ne qisse bahut bayān kiye
magar jo tarz-e-bayāñ hai siyāh bāloñ meñ
mujhe huā hai ye andāza narmagīñ chhū kar
gudāz-e-ishq-e-butāñ hai siyāh bāloñ meñ
ye tīrgī to amāvas meñ bhī nahīñ miltī
shabīh-e-māh-e-nihāñ hai siyāh bāloñ meñ
haiñ kis ke dast-e-muqaddar meñ reshmī saa.e
yaqīn hai na gumāñ hai siyāh bāloñ meñ
har ek ruḳh se mukammal shabāb hai un kā
kamī hī koī kahāñ hai siyāh bāloñ meñ
lipaT gayā hai achānak hī 'āftāb' un se
to sansanī kā samāñ hai siyāh bāloñ meñ
ghaTa ki mauj rawan hai siyah baalon mein
shab-e-siyah ka dhuan hai siyah baalon mein
wo aaj chhat pe jo aaya hai khol kar gesu
siyahi KHub ayan hai siyah baalon mein
koi laTon ko agar dekh le guman hoga
ki jaise nag jawan hai siyah baalon mein
ghuli hui hai faza mein latif si KHushbu
ki jaise itr-e-gulan hai siyah baalon mein
Tapak rahi hai jo zulfon se bhigti sargam
KHumar-e-ab-e-rawan hai siyah baalon mein
zaban-e-shauq ne qisse bahut bayan kiye
magar jo tarz-e-bayan hai siyah baalon mein
mujhe hua hai ye andaza narmagin chhu kar
gudaz-e-ishq-e-butan hai siyah baalon mein
ye tirgi to amawas mein bhi nahin milti
shabih-e-mah-e-nihan hai siyah baalon mein
hain kis ke dast-e-muqaddar mein reshmi sae
yaqin hai na guman hai siyah baalon mein
har ek ruKH se mukammal shabab hai un ka
kami hi koi kahan hai siyah baalon mein
lipaT gaya hai achanak hi 'aftab' un se
to sansani ka saman hai siyah baalon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.