ghaTaen bandh raha tha main husn ki laT mein
ghaTā.eñ bāñdh rahā thā maiñ husn kī laT meñ
pasīne chhūT ga.e she'r kī sajāvaT meñ
sach ek chhoTā sā jumla thā kah diyā hotā
hazār lafz lage jhuuT kī banāvaT meñ
vo kaisā daur thā ham rāhatoñ ke hākim the
tamām raat guzartī thī ek karvaT meñ
jinhoñ ne taash ke pattoñ kā ghar banāyā hai
dikhā.ī detā hai tūfān un ko aahaT meñ
jadīd nasl meñ kitnā utāvlā-pan hai
shajar lagāte hī phal chāhiye faTāfaT meñ
phir is ke baa'd kabhī pyaas bujh nahīñ paa.ī
kisī ne paanī pilāyā thā chhup ke ghūñghaT meñ
kahāñ to aaya thā tayyārī karne mahshar kī
kahāñ maiñ phañs gayā duniyā jahāñ ke jhanjhaT meñ
vo kaalī āñkheñ vo maTkī vo reshmī āñchal
ulajh ke rah gayā dil kā qarār panghaT meñ
maiñ jang jiit ke lauTā huuñ is liye 'aḳhlāq'
sukūn baiThā huā hai mirī thakāvaT meñ
ghaTaen bandh raha tha main husn ki laT mein
pasine chhuT gae she'r ki sajawaT mein
sach ek chhoTa sa jumla tha kah diya hota
hazar lafz lage jhuT ki banawaT mein
wo kaisa daur tha hum rahaton ke hakim the
tamam raat guzarti thi ek karwaT mein
jinhon ne tash ke patton ka ghar banaya hai
dikhai deta hai tufan un ko aahaT mein
jadid nasl mein kitna utawla-pan hai
shajar lagate hi phal chahiye faTafaT mein
phir is ke ba'd kabhi pyas bujh nahin pai
kisi ne pani pilaya tha chhup ke ghunghaT mein
kahan to aaya tha tayyari karne mahshar ki
kahan main phans gaya duniya jahan ke jhanjhaT mein
wo kali aankhen wo maTki wo reshmi aanchal
ulajh ke rah gaya dil ka qarar panghaT mein
main jang jit ke lauTa hun is liye 'aKHlaq'
sukun baiTha hua hai meri thakawaT mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.