ghira hun do qatilon ki zad mein wujud mera na bach sakega
ghira hun do qatilon ki zad mein wujud mera na bach sakega
Musavvir Sabzwari
MORE BYMusavvir Sabzwari
ghirā huuñ do qātiloñ kī zad meñ vujūd merā na bach sakegā
maiñ zard jangal se bach gayā to pahāḌ ik mushta'il milegā
hazīmatoñ ke safar kā raahī ufuq ko dekhegā bebasī se
ufuq se baḌhtā huā samundar zamīñ ko qadmoñ se khīñch legā
jalā ke ghar se raqīb sham'eñ havā meñ ham tum nikal paḌe haiñ
yahī hai donoñ ko intizār ab ki pahle kis kā diyā bujhegā
phir ek saffāk saḳht jhoñkā barahna-tar kar gayā shajar ko
jab us ko dekhoge ḳhatm-e-shab meñ to patte patte se Dar lagegā
gudāz jismoñ kī āhaToñ kā tilism TuuTā navāh-e-jāñ meñ
fazā se ab koī haath baḌh kar ujaḌte mausam meñ aag degā
ghira hun do qatilon ki zad mein wujud mera na bach sakega
main zard jangal se bach gaya to pahaD ek mushta'il milega
hazimaton ke safar ka rahi ufuq ko dekhega bebasi se
ufuq se baDhta hua samundar zamin ko qadmon se khinch lega
jala ke ghar se raqib sham'en hawa mein hum tum nikal paDe hain
yahi hai donon ko intizar ab ki pahle kis ka diya bujhega
phir ek saffak saKHt jhonka barahna-tar kar gaya shajar ko
jab us ko dekhoge KHatm-e-shab mein to patte patte se Dar lagega
gudaz jismon ki aahaTon ka tilism TuTa nawah-e-jaan mein
faza se ab koi hath baDh kar ujaDte mausam mein aag dega
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 102)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.