ghuggiyon ka haq dabana aa gaya
ghuggiyoñ kā haq dabānā aa gayā
koThiyoñ ko zulm Dhānā aa gayā
kah rahī hai muskurāhaT khet kī
dhaan kī baalī meñ daana aa gayā
dūdhiyā ḳhush hai ki beTe ko bhī ab
duudh meñ paanī milānā aa gayā
fikr kuchh to kam huī māñ-bāp kī
laal ko khānā-kamānā aa gayā
vo sabhī raunaq hue darbār kī
haañ meñ jin ko sar hilānā aa gayā
saañs kī bīmāriyāñ baḌhne lagīñ
gaañv meñ kyā kār-ḳhāna aa gayā
chhū hī leñge āsmāñ ko ek din
paañv dhartī par jamānā aa gayā
karte karte mashq misre par 'vivek'
ham ko bhī misra' lagānā aa gayā
ghuggiyon ka haq dabana aa gaya
koThiyon ko zulm Dhana aa gaya
kah rahi hai muskurahaT khet ki
dhan ki baali mein dana aa gaya
dudhiya KHush hai ki beTe ko bhi ab
dudh mein pani milana aa gaya
fikr kuchh to kam hui man-bap ki
lal ko khana-kamana aa gaya
wo sabhi raunaq hue darbar ki
han mein jin ko sar hilana aa gaya
sans ki bimariyan baDhne lagin
ganw mein kya kar-KHana aa gaya
chhu hi lenge aasman ko ek din
panw dharti par jamana aa gaya
karte karte mashq misre par 'wiwek'
hum ko bhi misra' lagana aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.