ghul jae jis mein rang wo pani nahin hun main
ghul jaa.e jis meñ rang vo paanī nahīñ huuñ maiñ
apnī anā kā dushman-e-jānī nahīñ huuñ maiñ
dīvāreñ rok paa.eñ vo paanī nahīñ huuñ maiñ
phir jaa.e jis kā ruḳh vo ravānī nahīñ huuñ maiñ
Dhālī ga.ī niyat mirī sīrat kī aañch se
sūrat pe mar-miTe vo javānī nahīñ huuñ maiñ
hālāt-e-hāzira kī tapish kī dalīl huuñ
maazī kī bhūlī-bisrī kahānī nahīñ huuñ maiñ
zinda rahūñgā un ke ta.āruf kī shakl meñ
sirf apne buzurgoñ kī nishānī nahīñ huuñ maiñ
takmīl-e-ḳhvāhishāt kā āsār huuñ miyāñ
parkho mujhe nishān-e-girānī nahīñ huuñ maiñ
zinda rakhegā mujh ko 'sa.ādat' mirā kalām
kah dījiyegā maut se faanī nahīñ huuñ maiñ
ghul jae jis mein rang wo pani nahin hun main
apni ana ka dushman-e-jaani nahin hun main
diwaren rok paen wo pani nahin hun main
phir jae jis ka ruKH wo rawani nahin hun main
Dhaali gai niyat meri sirat ki aanch se
surat pe mar-miTe wo jawani nahin hun main
haalat-e-hazira ki tapish ki dalil hun
mazi ki bhuli-bisri kahani nahin hun main
zinda rahunga un ke taaruf ki shakl mein
sirf apne buzurgon ki nishani nahin hun main
takmil-e-KHwahishat ka aasar hun miyan
parkho mujhe nishan-e-girani nahin hun main
zinda rakhega mujh ko 'saadat' mera kalam
kah dijiyega maut se fani nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.