ghup andhere mein ujalon ki tarah milta hai
ghup añdhere meñ ujāloñ kī tarah miltā hai
haa.e vo ġhair jo apnoñ kī tarah miltā hai
apne rahte haiñ kināroñ kī tarah duur hī duur
ġhair ab TuuT ke maujoñ kī tarah miltā hai
kaun kahtā hai ki maiñ bhuul gayā huuñ us ko
merī āñkhoñ se jo ḳhvāboñ kī tarah miltā hai
husn is daur meñ arzāñ hai sar-e-kūcha-o-bām
ishq ab parda-nashīnoñ kī tarah miltā hai
vaqt ā.īna-e-kirdār-o-amal hai goyā
yahī dushman yahī yāroñ kī tarah miltā hai
kaise kahiye ki yahī chehra hai aslī chehra
har riyā-kār faqīroñ kī tarah miltā hai
dil jab iḳhlās kī ḳhushbū se mahak uThtā hai
lutf nekī meñ gunāhoñ kī tarah miltā hai
har talabgār ye me.ār-e-atā kyā jaane
ġham bhī is bazm meñ tohfoñ kī tarah miltā hai
na khulā 'zabt' kī uftād-tabī.at kā tilism
pārsā lagtā hai rindoñ kī tarah miltā hai
ghup andhere mein ujalon ki tarah milta hai
hae wo ghair jo apnon ki tarah milta hai
apne rahte hain kinaron ki tarah dur hi dur
ghair ab TuT ke maujon ki tarah milta hai
kaun kahta hai ki main bhul gaya hun us ko
meri aankhon se jo KHwabon ki tarah milta hai
husn is daur mein arzan hai sar-e-kucha-o-baam
ishq ab parda-nashinon ki tarah milta hai
waqt aaina-e-kirdar-o-amal hai goya
yahi dushman yahi yaron ki tarah milta hai
kaise kahiye ki yahi chehra hai asli chehra
har riya-kar faqiron ki tarah milta hai
dil jab iKHlas ki KHushbu se mahak uThta hai
lutf neki mein gunahon ki tarah milta hai
har talabgar ye mear-e-ata kya jaane
gham bhi is bazm mein tohfon ki tarah milta hai
na khula 'zabt' ki uftad-tabiat ka tilism
parsa lagta hai rindon ki tarah milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.