ghuT ke mar jaane se pahle apni diwar-e-nafas mein dar nikalo
ghuT ke mar jaane se pahle apni diwar-e-nafas mein dar nikalo
Mohammad Ahmad Ramz
MORE BYMohammad Ahmad Ramz
ghuT ke mar jaane se pahle apnī dīvār-e-nafas meñ dar nikālo
dard ke vīrāñ khañDar se manzar-e-be-nām ko bāhar nikālo
ab ye aalam hai ki har-sū māvarā-e-muntahā tak haiñ uḌāneñ
āshiyāñ to ik qafas hai bāhar aa bhī jaao bāl-o-par nikālo
ḳhud tumhāre apne zad par aa rahe haiñ itnī saffākī bhī chhoḌo
kuchh ziyāda ho gayā hai teġh-e-irshādāt se jauhar nikālo
dekh lenā maat khā jā.egā shah pā kar ye TeḌhā chalne vaalā
chaal uljhī hai koī paidal jamā.e rakkho koī ghar nikālo
āñkheñ kholo ab to mere zaḳhm-e-dil bhī mundamil hone lage haiñ
maan jaao phir koī talvār uThāo phir koī ḳhanjar nikālo
tah-nashīñ maujoñ ke pahre saḳht kar detā hai qasr-e-āb par vo
ḳhuun paanī kar ke apnā pattharoñ kī oT se gauhar nikālo
ab ḳhudā jaane kahāñ le jā ke bikhrā.e havā-e-vaqt mujh ko
aao haath apnā baḌhā kar tum bhī merī ḳhaak chuTkī-bhar nikālo
kis liye 'ramz' itnī ūñchī tum ne kar rakkhī haiñ dīvāreñ hunar kī
dekho apne sāthiyoñ ko rauzan-e-ḳhud-āgahī se sar nikālo
ghuT ke mar jaane se pahle apni diwar-e-nafas mein dar nikalo
dard ke viran khanDar se manzar-e-be-nam ko bahar nikalo
ab ye aalam hai ki har-su mawara-e-muntaha tak hain uDanen
aashiyan to ek qafas hai bahar aa bhi jao baal-o-par nikalo
KHud tumhaare apne zad par aa rahe hain itni saffaki bhi chhoDo
kuchh ziyaada ho gaya hai tegh-e-irshadat se jauhar nikalo
dekh lena mat kha jaega shah pa kar ye TeDha chalne wala
chaal uljhi hai koi paidal jamae rakkho koi ghar nikalo
aankhen kholo ab to mere zaKHm-e-dil bhi mundamil hone lage hain
man jao phir koi talwar uThao phir koi KHanjar nikalo
tah-nashin maujon ke pahre saKHt kar deta hai qasr-e-ab par wo
KHun pani kar ke apna pattharon ki oT se gauhar nikalo
ab KHuda jaane kahan le ja ke bikhrae hawa-e-waqt mujh ko
aao hath apna baDha kar tum bhi meri KHak chuTki-bhar nikalo
kis liye 'ramz' itni unchi tum ne kar rakkhi hain diwaren hunar ki
dekho apne sathiyon ko rauzan-e-KHud-agahi se sar nikalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.