ghuTan baDhti hai to jine ki KHwahish aur hoti hai
ghuTan baDhti hai to jine ki KHwahish aur hoti hai
Jameel Ahmad Jameel
MORE BYJameel Ahmad Jameel
ghuTan baḌhtī hai to jiine kī ḳhvāhish aur hotī hai
havā.eñ band ho jaa.eñ to bārish aur hotī hai
kahāñ vo qahqahe us ke kahāñ ashkoñ kī tuġhyānī
tamāshā aur hotā hai numā.ish aur hotī hai
bahut dekhā hai ham ne aur hamārā tajraba bhī hai
sañbhal kar rāsta chalne se laġhzish aur hotī hai
maiñ apnā dil jhukātā huuñ tum apnā sar jhukā.e ho
ibādat aur hī shai hai parastish aur hotī hai
maiñ saaqī ke karam kā is liye mamnūn-o-shākir huuñ
ki iz.hār-e-tashakkur se navāzish aur hotī hai
'jamīl' ab jis qadar bhī ho sake mohtāt hī rahiye
nazar āzād ho jaa.e to bandish aur hotī hai
ghuTan baDhti hai to jine ki KHwahish aur hoti hai
hawaen band ho jaen to barish aur hoti hai
kahan wo qahqahe us ke kahan ashkon ki tughyani
tamasha aur hota hai numaish aur hoti hai
bahut dekha hai hum ne aur hamara tajraba bhi hai
sanbhal kar rasta chalne se laghzish aur hoti hai
main apna dil jhukata hun tum apna sar jhukae ho
ibaadat aur hi shai hai parastish aur hoti hai
main saqi ke karam ka is liye mamnun-o-shakir hun
ki izhaar-e-tashakkur se nawazish aur hoti hai
'jamil' ab jis qadar bhi ho sake mohtat hi rahiye
nazar aazad ho jae to bandish aur hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.